ASSALAIM ALLAIKUM!


AURAT KA KHUSHBU LAGAANA:



"aurat k liye khushbu laga ker ghar se nikelna jayez nahi.jo aurat aisa kerti hai wo bad_kaar hai"..
TARMAZI.HADEES 2786
SANAN_ABI_DAUD.HADEES 4173

jahiliyat mai wo tamam awaamil shamil hain jin k karnay per aurat per lanat ki gayi hai.jesay Aazaa ki numayish,bharkilay libas,ya intihayi tang libas ya intihayi bareek libas jisko pehan ker aurat ka jism b dikhai day.or mardana libas jis se aurat k aurat honay ka maqsad hi fot ho jaye.ye tamam af'aal haram hain.aaj kal muslim socity mai aik nyi beemari dekhnay mai milti hai k burqah to arrha jata hai mgr itna tang_o_chustk burqa ki apni amli hasiyat hi khatam kar di jati hai.ya phir chadar is tarha orrhi jati hai k sar to dhaanp lya jata hai mgr jism numayan kya jata hai.ye sab milawat hai.dhoka hai.jo k haqiqat mai khud ko or ALLAH ko dhoka denay k mutradif hai.ham parda to ker rahay hain mgr aisay parday ki na koi shar'ai haisiyat hai na hi muasharti. 


"Ae adam ki olaad! hamnay tumharay liye libas peda kiya jo tumhari sharam gaahon ko chupata hai or mojab_e_zeenat b hai.or taqwa ka libas sab se barh ker hai".. 

AL_AIRAAF:26

mai apni tamam muslimah behnon se kehna chahun gi k parda ko apni naik niyati or khuloos samajh ker istimaal karain na k apnay oper aik pabandi samajh ker.aaj kal boht sari muslimah behnain aisi hain jo khud per jabbr kar k parda karti hain.ya unkay parday ki wajah unkay ghar walon ki sakhti hoti hai.bay shak ghar walo ko chahiye k unko parday ka hukm dain mgr sirf sakhti se nahi bal k samjha ker.deen ki taraf la ker.unko btayen k aik momina or or ghair musli aurat mai kya farq hota hai.unki rughbat quran-o_deen ki taraf dilayen.aaj kal muasharti bay raah_o_rawi ki sab se bari wajah yehi hai k khud walaidain or ghar walay hi deen se door hain.to wo kya taleem dain gay apni beti ko deen ki.aaj kal aik or beemari aam hai k jab b kisi behan se parday ki bat ki jaey to aik hi ratta hua jwab aksar milta hai."parda to aankh ka hota hai"."sari baat niyat ki hoti hai"."aaj kal to parday waliyan zyada kharab hain" etc etc.ye sab jahilana or munafiqaana rawaiye hain.or in sab ki wajah hai deeni ilm ki kammi. 

aik momin wohi hai jo ALLAH or uskay RASUL sww ne keh diya usko manay.momin ALLAH or RASUL sww k hukm k saminay gardan jhukata hai or iblees keeray nikalta hai.
meri apni tamam muslman behnaon se iltmaas hai k QURAN o SUNNAT ki taleem khud b seekhain or doosron ko b sikhayen.or islami shariyat or parday ki pabandi ker k apni muslimah honay ka saboot dain.
aik aurat aik ghar ki aik khandan ki aik nasal ki zimadar hoti hai.agr aurat sanwar jaey to nasal sanwar sakti hai..

"duniya ka sab say behtareen sarmaaya NAIK AURAT hai"..  
MUSLIM