ASSALAIM ALLAIKUM!


BURQAAH: Niqaab


chehre k sath parda hi asal parda he

"Umm_ul_MOmineen Ayesha r.a farmati hain k mai apnay safar ki manzil pay bethi thi k aankh lag gayi.or mai so gayi.Hazrat Saffwan_bin_muatal r.a foj k pichay arahay thay.raat k akhir ko chaltay chaltay subha wo meri manzil per phnchay or aik soye huay admi ka saya dekh ker meray qarib aye.or mujhay dekh ker pehchan gaey kiu k hijjab ki ayat nazil honay se pehlay wo mujhay dekh chukay thay.mujhay pehchan ker unhon ne Inna Lillah parha to unki awaz se mai jag gayi or chadar se moonh chupa liya".. 
BUKHARI_KITAB_UL_TAFSEER-HADEES 4750

"Hazrat Ayesha r.a farmati hain k safr_e_hajj mai jab ham ahraam bandhnay ja rahi hotin to jab b hajjaj k qafilay hamaray samnay se guzertay to ham chehray per chadar khainch liya karti thin.or jab qafilay guzar jatay to phir ham chehray khol letin".. 

SANAN_ABI_MAJA-KITAB_UL_MANASIK-BAAB_UL_MEHRMAAT-HADEES 2935.

"Isma_bint_abi bakar farmati hain k ham mardon ko samnay dekh ker chehray dhaanp liya karti thin". 

SAHI_IBN_E_KHAZEEMA-PAGE 203

islam mai chehra chupana aik behtreen fail hai.aap ghor farmayen k jab aurat ko gardan or seena chupanay ka hukm diya gya hai to chehra chupanay ka hukm to awwalin hona chahiye kiu k jo log khubsurati k talib hotay hain wo chehra pehlay dekhtay hain.agr chehra khubsurat ho to baqi ko khas ehmiyat nahi di jati.jab b ham kisi k baray mai ye kehtay hain k ' wo khubsurat hai ' to iska matlab hai k uska chehra khubsurat hai.lehaza behtreen parda sirf Hijjab nahi bal'k Chehra ko Chupana hai.