Namaz
Islam k 5 stoonon main se e ek hai or iski pabandi insan ko Allah k
kareeb tar kr deti hai. Aqeedat se parhi gai namaz main Insan or Allah k
darmyan tamam parde hata dye jate hain. Roze jaza-o-saza namaz k bare
main poocha jaye ga. Kuch log namaz qayem karne ki ehmiat se aashna nai
hain or namaz k doran b is ehsas se door hote hai k ye wakt insan ka or
Allah ka hai or duniya k kamon ko yad rakhte hain. Namaz ki adayegi
Hazrat Muhammad SAW k bataye hue tareekon k mutabik honi chahye or un sb
baton ka dhayan rakhna chahye jin k lye Hazrat Muhammad SAW ne
Rahnumaee farmaee hai. Yahan Namaz ki Sunnaton ko ek sath paish kia gya
hai. Apni namaz ko Allah ki pasandeeda namaz banaiyee or Allah ko or
uske Rasool ko razi kijyee.